Marham Lyrics from the album SP Chauhan (2019), sung by Sonu Nigam. The song is written by Abhendra Kumar Upadhyay and music composed by Vibhas. Music label T-Series. Starring Jimmy Sheirgill, Yuvika Chaudhary.
| Cast: | Jimmy Sheirgill, Yuvika Chaudhary |
| Lyricist: | Abhendra Kumar Upadhyay |
| Album: | SP Chauhan |
| Duration: | 2:42 |
Woh jo kabhi sardiyon mein dhoop si thi
Garmiyon mein chaanv si
Maujeedgi teri kaha gayi
Woh patjhad ke mausamon mein
Ikk haryali jo layi thi
Woh baarishein kaha chali gayi
Ab aankhen meri tujhe dhoondha kare
Tu mile na agar toh yeh roya kare
Faasley yeh kam karoon main kisi tarah
Dard mein marham banu main kisi tarah
Faasley yeh kam karoon main kisi tarah
Dard mein marham banu main kisi tarah
Mere maathe pe silvatein jo hain
Aake inhe mita do na
Aansu mere bhatakte phirte hain
Aake inhe panah do na
Kuch kami si hai kuch nami si hai
Aansuon se bhara hoon main
Band teri aankhein jabse hai
Saansein roke khada hoon main
Saansein roke khada hoon main
Dard mein marham banu main kisi tarah
Dard mein marham banu main kisi tarah
Written by:
Abhendra Kumar Upadhyay









