Kya Haal Hai Lyrics

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp
Singer:Sachet Tandon, Parampara Tandon
Album:Phir Aayi Hasseen Dillruba

Chalan se na chal se
Pyar karne walo ko
Parkhon unke dil ke haal se

Uff.. 

2 naina tere 2 naina mere
Baithe huye hain rubaru
2 khwaab tere 2 khwaab mere
Hai ek jaise hubahu

Na tu jaane na main jaanu
Yeh to rab ka kamaal hai

Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai
Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai

Ishq hai ya koi bhram hai
Sab ke lab pe sawaal hai
Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai

Jo ishq piya teri nazron se
Gaya phir hosh mera
Tu rooh mein nashe si utarne lagi
Isme kya dosh mera

Jo ishq piya teri nazron se
Gaya phir hosh mera
Tu rooh mein nashe si utarne lagi
Isme kya dosh mera

Ishq mein tere barqat hai
Pehle se jyada main saans lene hoon laga
Mujhme teri sirqat hai
Mehsoos tujhko dil dhadkano mein kar raha

Koi gham nahi hai kuch kam nahi hai
Rooh ko meri tune chhu liya
Hua main naya tera hai ye karam

Tu le saansein to hawa mein
Jaise uddta gulaal hai

Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai
Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai

Ishq hai ya koi bhram hai
Sab ke lab pe sawaal hai
Haal hai kya haal hai
Dil kya bataye kya haal hai

Written by:
Kumaar

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp

Leave a Comment