Hai Kamaal Lyrics from the album Thalaivii(2021), sung by Shankar Mahadevan, Parul Mishra. The song is written by Irshad Kamil.
| Hai Kamaal Lyrics | Song Info: |
|---|---|
| Singers: | Shankar Mahadevan, Parul Mishra |
| Director: | / |
| Album: | Thalaivii |
| Lyricist: | Irshad Kamil |
Pyaar jahan par mil jaata hai
Rishta ban jaata hai
Anjaan hi anjaana sa
Apna ban jaata hai
Naye raaston par
Nayi manzilein hain
Naye log saare
Nayi mehfilein hain
Jahan pyaar dekar
Mile pyaar humko
Wahi humsafar hai
Wahi kaafile hain
Hai kamaal aise hi chalna
Hai kamaal wakt badalna
Hai kamaal subah ka hona
Hai kamaal raat ka dhalna
Lekar chala hai tumhein wakt jahan
Is pal wahan tera sab hai
Karwat samay ne li hai aaj agar
Iska koyi matlab hai
Tere hisse ka hai jo
Tune hi karna hai woh
Hai kamaal raahon ka milna
Hai kamaal milke chalna
Hai kamaal wakt badalna
Tumse jude hai laakhon khwab naye
Tumse judi hai aashayein
Rehke tufaano mein hi to tumne
Dhundhi hai saari dishayein
Tera rishta sab se hai
Tera rishta rab se hai
Hai kamaal aankhon mein rehna
Hai kamaal dil mein palna
Hai kamaal wakt badalna
Naye raaston par
Nayi manzilein hain
Naye log saare
Nayi mehfilein hain
Jahan pyaar dekar
Mile pyaar humko
Wahi humsafar hai
Wahi kaafile hain
Hai kamaal aise hi chalna
Hai kamaal wakt badalna
Hai kamaal subah ka hona
Hai kamaal raat ka dhalna
Written by:
Irshad Kamil









