Beiraada Lyrics

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp
Singer:Sachet Tandon, Parampara Tandon
Album:Bhool Bhulaiyaa 3

Aaya na koi tere baad kabhi
Yeh dil ka shehar khali hi raha
Tere khwaab liye us mod pe hi
Main shaamo sehar thehra hi raha

Be-asar benishaan beiraada ho gaya
Ishq tumse mujhe thoda jyada ho gaya
Be-asar benishaan beiraada ho gaya
Ishq tumse mujhe thoda jyada ho gaya

Tumse hua tha jo kabhi
Tha jhooth ya sach tha
Woh ishq tha ya phir koi
Shauki mohabbat tha

Ye jaan tumhari hi hai
Tune haq se kabhi mangi hi nahi

Tanhai se lad na paunga
Yaadon se jhagad na paunga
Dariya mein tumhare dard ke
Utrunga to jal paunga

Jiske main nashe mein choor tha
Jiska har ghadi fitoor tha
Parchai banaya tha jise
Paas hoke bhi mujhse door tha

Be-asar benishaan beiraada ho gaya
Ishq tumse mujhe thoda jyada ho gaya
Bewajah besabar beiraada ho gaya
Ishq tumse mujhe thoda jyada ho gaya

Written by:
Rashmi Virag

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp

Leave a Comment