Allah Ka Ghar Lyrics

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp

Allah Ka Ghar Lyrics, sung by Nabeel Shaukat Ali, Tahseen Sakina. The song is written by Khadim Hussain. Music label Nabeel Shaukat Ali.

Allah Ka Ghar LyricsSong Info:
Singers:Nabeel Shaukat Ali, Tahseen Sakina
Musician:Kamran Akhtar
Label:Nabeel Shaukat Ali
Lyricist:Khadim Hussain

Yeh Kaaba Jise Kehtay Hain Hum
Mere Rab Ki Bari Nishani Hai
Yeh Markaz Bana Ibaadat Ka
Jhukti Yahan Har Paishaani Hai

Allah Ka Ghar, Sajdon Ka Dar
Jhuktay Yahan Momino Ke Hain Sar
Dhul Jatay Hain, Dil Ke Gunaah
Rehman Hai Wo Tu Tauba To Kar

Tere Khaleel (عليه السلام) Ki Bunyaad Hai
Taameer E Kaaba Hamein Yaad Hai
Aaya Tha Kaaba Mai Jab But Shikan
Kiya Mustafa (ﷺ) Ne Jo Abaad Hai

Kaaba Mai Goonji Thi Yeh Hi Sada
La Ilaaha Illallah
Farishton Ne Aake Ki Hamd O Sana
La Ilaaha Illallah

Kya Tha Wo Manzar, Kya Tha Sama
Chhat Pe Bilal (رَضِيَ اللهُ عَنْهُ) Ne Di Thi Azaan
Sunke Sahaba Bhi Rone Lage
Qurban Nabi (ﷺ) Pe Wo Hone Lage

Allah Se Ki Sab Ne Faryaad Hai
Hurmat E Kaaba Rahe Shaad Hai
Aaya Tha Kaaba Mai Jab But Shikan
Kiya Mustafa (ﷺ) Ne Jo Abaad Hai

Kaaba Mai Goonji Thi Yeh Hi Sada
La Ilaaha Illallah
Paigham E Deen Yun Mukamal Hua
La Ilaaha Illallah

Zam Zam Mai Rakhi Hai Rab Ne Shifa
Hai Ismail (عليه السلام) Ka Yeh Maujza
Jannat Ka Pathar Kaaba Mai Laga
Jisko Nabi (ﷺ) Ne Hai Bosa Diya

Mere Nabi (ﷺ) Ka Yeh Irshaad Hai
Banda Gunahon Se Azaad Hai
Aaya Tha Kaaba Mai Jab But Shikan
Kiya Mustafa (ﷺ) Ne Jo Abaad Hai

Kaaba Mai Goonji Thi Yeh Hi Sada
La Ilaaha Illallah
Risaalat Se Tauheed Ka Silsila
La Ilaaha Illallah

Yaad Hamein Hai Wo Waqiya
Abraha Lashkar Le Kar Tha Khara
Hukm Ababeelon Ko Phir Hua
Kiya Phir Parindon Ne Unko Tabaah

Rab Ne Kiya Unko Barbaad Hai
Unki Nasal Ab Tak Nashaad Hai
Aaya Tha Kaaba Mai Jab But Shikan
Kiya Mustafa (ﷺ) Ne Jo Abaad Hai

Kaaba Mai Goonji Thi Yeh Hi Sada
La Ilaaha Illallah
Baatil Mita Haq Hai Zaahir Hua
La Ilaaha Illallah

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghair Ullah
Noor E Muhammad Sallallah
La Ilaaha Illallah

Hasbi Rabbi Jallallah
Mafi Qalbi Ghair Ullah
Noor E Muhammad Sallallah
La Ilaaha Illallah

Facebook
Twitter
LinkedIn
WhatsApp

Leave a Comment